ik hunar tha kamaal tha kya tha
mujh mein tera tha kya tha
tere jaane pe ab ke kuchh na kaha
mein dar tha malaal tha kya tha
barque ne mujh ko kar diya raushan
tera aks-e-jalaal tha kya tha
ham tak aaya tu bahar-e-lutf-o-karam
tera waqt-e-zawaal tha kya tha
jis ne tah se mujhe uchhaal diya
doobne ka khayaal tha kya tha
jis pe dil saare ahad bhool gaya
bhoolne ka sawaal tha kya tha
titliyan the ham aur quaza ke paas
surkh phoolon ka jaal tha kya tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein