ham ne hi lautne ka iraada nahi kiya
us ne bhi bhool jaane ka waada nahi kiya
dukh odhte nahi kabhi jashn-e-tarab mein ham
malboos-e- ko tan ka labaada nahi kiya
jo mila hai bojh uthaaya hai us ka khud
sar zer-e-baar-e-saaghar-o-baada nahi kiya
kaar-e-jahan hamein bhi bahut the safar ki shaam
us ne bhi iltifaat ziyaada nahi kiya
aamad pe teri itr o charaagh o suboo na hon
itna bhi bood-o-baash ko saada nahi kiya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein