gulaab haath mein ho aankh mein sitaara ho
koi wajood mohabbat ka istiaara ho
main gahre paani ki is rau ke saath bahti rahoon
jazeera ho ki muquabil koi kinaara ho
kabhi-kabhaar use dekh lein kahin mil lein
ye kab kaha tha ki wo khush-badan hamaara ho
qusoor ho toh hamare hisaab mein likh jaae
mohabbaton mein jo ehsaan ho tumhaara ho
ye itni gae kaun dastakein dega
kahin hawa ka hi us ne na roop dhaara ho
ufuque toh kya hai dar-e-kahakshan bhi chhoo aaein
musaafiron ko agar ka ishaara ho
main apne hisse ke sukh jis ke naam kar daaloon
koi toh ho jo mujhe is tarah ka pyara ho
agar wajood mein aahang hai toh wasl bhi hai
wo chaahe nazm ka tukda ki nasr-paara ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein