ka toota hua harf sard aah mein hai
tiri judaai ka manzar abhi mein hai
tire badalne ke ba-wasf tujh ko chaaha hai
ye etiraaf bhi shaamil mire gunaah mein hai
azaab dega toh phir mujh ko khawaab bhi dega
main mutmain hoon mira dil tiri panaah mein hai
bikhar chuka hai magar muskura ke milta hai
wo rakh rakhaaw abhi mere kaj-kulaah mein hai
jise bahaar ke mehmaan khaali chhod gae
wo ik makaan abhi tak makin ki chaah mein hai
yahi wo din the jab ik doosre ko paaya tha
hamaari saal-girah theek ab ke maah mein hai
main bach bhi jaaoon toh tanhaai maar daalegi
mire quabeele ka har fard quatl-gaah mein hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein