bahut roya wo ham ko kar ke
hamaari barbaad kar ke
palat kar phir yahin aa jaaenge ham
wo dekhe toh hamein aazaad kar ke
rihaai ki koi soorat nahi hai
magar han minnat-e-sayyaad kar ke
badan mera chhua tha us ne lekin
gaya hai rooh ko aabaad kar ke
har aamir tool dena chaahta hai
muqarrar zulm ki meeaad kar ke
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein