baadban khulne se pahle ka ishaara dekhna
main samundar dekhti hoon tum kinaara dekhna
yoon bichhadna bhi bahut aasan na tha us se magar
jaate jaate us ka wo mud kar dobaara dekhna
kis shabaahat ko liye aaya hai darwaaze pe
ai -e-hijran zara apna sitaara dekhna
kya quayaamat hai ki jin ke naam par paspa hue
un hi logon ko muquabil mein saf-aara dekhna
jab banaam-e-dil gawaahi sar ki maangi jaaegi
khoon mein dooba hua parcham hamaara dekhna
jeetne mein bhi jahan ji ka ziyan pahle se hai
aisi baazi haarne mein kya khasaara dekhna
aaine ki aankh hi kuchh kam na thi mere liye
jaane ab kya kya dikhaaega tumhaara dekhna
ek musht-e-khaak aur wo bhi hawa ki zad mein hai
zindagi ki bebsi ka istiaara dekhna
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
samundaron ke adhar se koi sada aai
dilon ke band dareeche khale hua aai
sarak gae the jo aanchal wo phir sanwaare gae
khale hue the jo sar un pe phir rida aai
utar rahi hain ajab khoshboyin rag w pay mein
ye kis ko chhoo ke mire shahar mein saba aai
use pukaara toh honton pe koi naam na tha
mohabbaton ke safar mein ajab faza aai
kahin rahe wo magar khairiyat ke saath rahe
uthaae haath toh yaad ek hi dua aai
ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein
shab wisaal ka jaise khumaar aankhon mein