ye kaisi kashmakash hai mein
kisi ko dhoondate hain ham kisi mein
jo kho jaata hai mil kar mein
ghazal hai naam us ka shaaeri mein
nikal aate hain aansoo hansate hansate
ye kis gham ki kasak hai har khushi mein
kahin chehra kahin aankhein kahin lab
hamesha ek milta hai kai mein
chamakti hai andheron mein khamoshi
sitaare tootte hain raat hi mein
sulagti ret mein paani kahan tha
koi baadal chhupa tha tishnagi mein
bahut mushkil hai banjaara-mizaaji
saleequa chahiye aawaargi mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de