mein dhoop toh hogi jo chal sako toh chalo
sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako toh chalo
kisi ke waaste raahein kahan badalti hain
tum apne aap ko khud hi badal sako toh chalo
yahan kisi ko koi raasta nahi deta
mujhe gira ke agar tum sambhal sako toh chalo
kahin nahi koi sooraj dhuan dhuan hai faza
khud apne aap se baahar nikal sako toh chalo
yahi hai kuchh khawaab chand ummeedein
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako toh chalo
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de