nazdeekiyon mein door ka manzar talaash kar
jo haath mein nahi hai wo patthar talaash kar
sooraj ke ird-gird bhatakne se faaeda
hua hai gum toh samundar talaash kar
taareekh mein mahal bhi hai haakim bhi takht bhi
gumnaam jo hue hain wo lashkar talaash kar
rahta nahi hai kuchh bhi yahan ek sa sada
darwaaza ghar ka khol ke phir ghar talaash kar
koshish bhi kar bhi rakh raasta bhi chun
phir is ke baad thoda muqaddar talaash kar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de