na jaane kaun sa manzar mein rahta hai
tamaam umr musafir mein rahta hai
ladaai dekhe hue dushmanon se mumkin hai
magar wo khauf jo deewar-o-dar mein rahta hai
khuda toh maalik-o-mukhtaar hai kahin bhi rahe
kabhi bashar mein kabhi jaanwar mein rahta hai
ajeeb daur hai ye tay-shuda nahi kuchh bhi
na chaand shab mein na sooraj sahar mein rahta hai
jo milna chaaho toh mujh se milo kahin baahar
wo koi aur hai jo mere ghar mein rahta hai
badalna chaaho toh duniyaa badal bhi sakti hai
ajab futoor sa har waqt sar mein rahta hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de