mutthi bhar logon ke haathon mein laakhon ki taqudeerein hain
juda hain dharm ilaaque ek si lekin zanjeerein hain
aaj aur kal ki baat nahi hai sadiyon ki taareekh yahi hai
har aangan mein khawaab hain lekin chand gharon mein taabeerein hain
jab bhi koi takht saja hai mera tera baha hai
darbaaron ki shaan-o-shaukat maidaanon ki shamsheerein hain
har jangal ki ek kahaani wo hi bhent wahi qurbaani
goongi bahri saari bhedein charwaahon ki jaageerein hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de