munh ki baat sune har koi dil ke ko jaane kaun
aawaazon ke baazaaron mein khaamoshi pahchaane kaun
sadiyon sadiyon wahi tamaasha rasta rasta lambi khoj
lekin jab ham mil jaate hain kho jaata hai jaane kaun
wo meri parchhaain hai yaa main us ka aaeena hoon
mere hi ghar mein rahta hai mujh jaisa hi jaane kaun
jaane kya kya bol raha tha sarhad pyar kitaabein khoon
kal meri neendon mein chhup kar jaag raha tha jaane kaun
kiran kiran alsaata palak palak khulti neendein
dheeme dheeme bikhar raha hai zarra zarra jaane kaun
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de