koshish ke baawjood ye ilzaam rah gaya
har kaam mein hamesha koi kaam rah gaya
chhoti thi umr aur taweel tha
aaghaaz hi likha gaya anjaam rah gaya
uth uth ke masjidon se namaazi chale gae
dahshat-garon ke haath mein islaam rah gaya
us ka qusoor ye tha bahut sochta tha wo
wo kaamyaab ho ke bhi naakaam rah gaya
ab kya bataaein kaun tha kya tha wo ek shakhs
ginti ke chaar harfon ka jo naam rah gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de