mein haiwaan yahan bhi hai wahan bhi
allaah nigahbaan yahan bhi hai wahan bhi
khoon-khwaar darindon ke faquat naam alag hain
har shahar bayaabaan yahan bhi hai wahan bhi
hindoo bhi sukoon se hai musalman bhi sukoon se
insaan pareshaan yahan bhi hai wahan bhi
rahmaan ki rahmat ho ki bhagwaan ki moorat
har khel ka maidaan yahan bhi hai wahan bhi
uthta hai -o-jan se dhuan donon taraf hi
ye meer ka deewaan yahan bhi hai wahan bhi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de