har taraf har jagah be-shumaar aadmi
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi
subh se shaam tak bojh dhota hua
apni hi laash ka khud aadmi
har taraf bhaagte daudte raaste
har taraf aadmi ka shikaar aadmi
roz jeeta hua roz marta hua
har nae din naya intizaar aadmi
ghar ki dahleez se gehoon ke khet tak
chalta phirta koi kaarobaar aadmi
ka muqaddar safar-dar-safar
aakhiri saans tak be-quaraar aadmi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de