har ghadi khud se ulajhna hai muqaddar mera
main hi kashti hoon mujhi mein hai samundar mera
kis se poochhoon ki kahan hoon kai barson se
har jagah dhoondhata phirta hai mujhe ghar mera
ek se ho gae mausmon ke chehre saare
meri aankhon se kahin kho gaya mera
muddatein beet gain khawaab suhaana dekhe
jaagta rahta hai har neend mein bistar mera
aaina dekh ke nikla tha main ghar se baahar
aaj tak haath mein mahfooz hai patthar mera
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de