garaj-baras pyaasi dharti par phir paani de maula
chidiyon ko daane bachchon ko gud-dhaani de maula
do aur do ka jod hamesha chaar kahan hota hai
samajh waalon ko thodi naadaani de maula
phir raushan kar ka pyaala chamka nai saleebein
jhooton ki duniyaa mein sach ko taabaani de maula
phir moorat se baahar aa kar chaaron or bikhar ja
phir mandir ko koi meera deewaani de maula
tere hote koi kis ki jaan ka dushman kyoon ho
jeene waalon ko marne ki aasaani de maula
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de