ek hi dharti ham sab ka ghar jitna tera utna mera
sukh ka ye jantar-mantar jitna tera utna mera
gehoon chaawal baantane waale jhoota taulein toh kya bolein
yoon toh sab kuchh andar baahar jitna tera utna mera
har jeewan ki wahi wiraasat aansoo sapna chaahat mehnat
saanson ka har bojh baraabar jitna tera utna mera
saansein jitni maujein utni sab ki apni apni ginti
sadiyon ka itihaas samundar jitna tera utna mera
khushiyon ke batwaare tak hi oonche neeche aage peechhe
duniyaa ke mit jaane ka jitna tera utna mera
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de