duniyaa jise kahte hain jaadoo ka khilauna hai
mil jaae toh mitti hai kho jaae toh sona hai
achchha sa koi mausam tanha sa koi aalam
har waqt ka rona toh be-kaar ka rona hai
barsaat ka baadal toh hai kya jaane
kis se bachna hai kis chhat ko bhigona hai
ye waqt jo tera hai ye waqt jo mera hai
har gaam pe pahra hai phir bhi ise khona hai
gham ho ki khushi donon kuchh door ke saathi hain
phir rasta hi rasta hai hansana hai na rona hai
aawaara-mizaaji ne phaila diya aangan ko
aakaash ki chaadar hai dharti ka bichhauna hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de