do chaar gaam ko hamwaar dekhna
phir har quadam pe ik nai deewar dekhna
aankhon ki raushani se hai har sang aaeena
har aaine mein khud ko gunahgaar dekhna
har aadmi mein hote hain das bees aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai baar dekhna
maidan ki haar jeet toh quismat ki baat hai
tooti hai kis ke haath mein talwaar dekhna
dariya ke is kinaare sitaare bhi bhi
dariya chadha hua ho toh us paar dekhna
achchhi nahi hai shahar ke raston se dosti
aangan mein phail jaae na bazaar dekhna
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de