dhoop mein niklo ghataaon mein naha kar dekho
kya hai kitaabon ko hata kar dekho
sirf aankhon se hi duniyaa nahi dekhi jaati
ki dhadkan ko bhi beenaai bana kar dekho
pattharon mein bhi zaban hoti hai dil hote hain
apne ghar ke dar-o-deewar saja kar dekho
wo sitaara hai chamakne do yoonhi aankhon mein
kya zaroori hai use jism bana kar dekho
faasla nazron ka dhoka bhi toh ho sakta hai
wo mile yaa na mile haath badha kar dekho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de