ho yaa pahaad ho takraana chahiye
jab tak na saans toote jiye jaana chahiye
yoon toh quadam quadam pe hai deewar saamne
koi na ho toh khud se ulajh jaana chahiye
jhukti hui ho ki simta hua badan
har ras-bhari ghata ko baras jaana chahiye
chauraahe baagh bildingein sab shahar toh nahi
kuchh aise waise logon se yaaraana chahiye
apni talaash apni nazar apna tajarba
rasta ho chaahe saaf bhatak jaana chahiye
chup chup makaan raaste gum-sum nidhaal waqt
is shahar ke liye koi deewaana chahiye
bijli ka qumquma na ho kaala dhuan toh ho
ye bhi agar nahi ho toh bujh jaana chahiye
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de