be-naam sa ye thahar kyoon nahi jaata
jo beet gaya hai wo guzar kyoon nahi jaata
sab kuchh toh hai kya dhoondhati rahti hain nigaahein
kya baat hai main waqt pe ghar kyoon nahi jaata
wo ek hi chehra toh nahi saare jahan mein
jo door hai wo se utar kyoon nahi jaata
main apni hi uljhi hui raahon ka tamaasha
jaate hain jidhar sab main udhar kyoon nahi jaata
wo khawaab jo barson se na chehra na badan hai
wo khawaab hawaaon mein bikhar kyoon nahi jaata
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de