apna le ke kahin aur na jaaya jaae
ghar mein bikhri hui cheezon ko sajaaya jaae
jin charaaghon ko hawaaon ka koi nahi
un charaaghon ko hawaaon se bachaaya jaae
khud-kushi karne ki himmat nahi hoti sab mein
aur kuchh din abhi auron ko sataaya jaae
baagh mein jaane ke aadaab hua karte hain
kisi titli ko na phoolon se udaaya jaae
kya hua shahar ko kuchh bhi toh dikhaai de kahin
yoon kiya jaae kabhi khud ko rulaaya jaae
ghar se masjid hai bahut door chalo yoon kar lein
kisi rote hue bachche ko hansaaya jaae
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de