ab khushi hai na koi rulaane waala
ham ne apna liya har rang zamaane waala
ek be-chehra si ummeed hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane waala
us ko rukhsat toh kiya tha mujhe maaloom na tha
saara ghar le gaya ghar chhod ke jaane waala
door ke ko dhoondo na kisi aanchal mein
ye ujaala nahi aangan mein samaane waala
ik musafir ke safar jaisi hai sab ki duniyaa
koi jaldi mein koi der se jaane waala
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de