aaega koi chal ke khizan se mein
sadiyan guzar gai hain isi intizaar mein
chhidte hi saaz-e-bazm mein koi na tha kahin
wo kaun tha jo bol raha tha sitaar mein
ye aur baat hai koi mahke koi chubhe
shan toh jitna gul mein hai utna hai khaar mein
apni tarah se duniyaa badalne ke waaste
mera hi ek ghar hai mire ikhtiyaar mein
tishna-labi ne ret ko dariya bana diya
paani kahan tha warna kisi reg-zaar mein
masroof gorkan ko bhi shaayad pata nahi
wo khud khada hua hai quaza ki quataar mein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
masajdin hain namaazeewan ke liye
apne ghar mein kahin khuda rakhna
jism mein pheelne laga hai shahar
apni tanhaaiyan bacha rakhna
milna jalna jahan zaroori hai
milne jalne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachaas ko paar
kaun hai kis jagah pata rakhna
zamin di hai toh thoda sa aasman bhi de
mire khuda mire hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai quismat toh phir zaban bhi de