zaahid na kah buri ki ye mastaane aadmi hain
tujh ko lipat padenge deewaane aadmi hain
ghairon ki dosti par kyoon etibaar keeje
ye dushmani karenge begaane aadmi hain
jo aadmi pe guzri wo ik siwa tumhare
kya ji laga ke sunte afsaane aadmi hain
kya juraatein jo ham ko darban tumhaara toke
kah do ki ye toh jaane-pahchaane aadmi hain
mai boond bhar pila kar kya hans raha hai saaqui
bhar bhar ke peete aakhir paimaane aadmi hain
tum ne hamare mein ghar kar liya toh kya hai
aabaad karte aakhir weeraane aadmi hain
naaseh se koi kah de keeje kalaam aisa
hazrat ko ta ki koi ye jaane aadmi hain
jab daawar-e-quayaamat poochhega tum pe rakh kar
kah denge saaf ham toh begaane aadmi hain
main wo bashar ki mujh se har aadmi ko nafrat
tum shama wo ki tum par parwaane aadmi hain
mahfil bhari hui hai saudaaiyon se us ki
us ghairat-e-pari par deewaane aadmi hain
shaabaash daagh tujh ko kya tegh-e- khaai
ji karte hain wahi jo mardaane aadmi hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera