wo zamaana nahi aata
kuchh thikaana nahi aata
jaan jaati dikhaai deti hai
un ka aana nazar nahi aata
ishq dar-parda phoonkata hai aag
ye jalaana nazar nahi aata
ik zamaana miri nazar mein raha
ik zamaana nazar nahi aata
dil ne is bazm mein bitha toh diya
uth ke jaana nazar nahi aata
rahiye mushtaaque-e-jalwa-e-deedaar
ham ne maana nazar nahi aata
le chalo mujh ko raah-rawaan-e-adam
yan thikaana nazar nahi aata
dil pe baitha kahan se teer-e-nigaah
ye nishaana nazar nahi aata
tum milaaoge khaak mein ham ko
dil milaana nazar nahi aata
aap hi dekhte hain ham ko toh
dil ka aana nazar nahi aata
dil-e-pur-aarzoo luta ai daagh
wo khazaana nazar nahi aata
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera