uzr un ki se nikla
teer goya kamaan se nikla
wo chhalaawa is aan se nikla
al-aman har se nikla
khaar-e-hasrat bayaan se nikla
dil ka kaanta zabaan se nikla
fitna-gar kya makaan se nikla
aasman aasmaan se nikla
aa gaya ghash nigaah dekhte hi
muddaa kab zabaan se nikla
kha gae the wafa ka dhoka ham
jhoot sach imtihaan se nikla
dil mein rahne na doon tira shikwa
dil mein aaya zabaan se nikla
waham aate hain dekhiye kya ho
wo akela makaan se nikla
tum baraste rahe sar-e-mahfil
kuchh bhi meri zabaan se nikla
sach toh ye hai moaamla dil ka
baahar apne gumaan se nikla
us ko aayat hadees kya samjhein
jo tumhaari zabaan se nikla
pad gaya jo zaban se teri harf
phir na apne makaan se nikla
dekh kar roo-e-yaar salle-ala
be-tahaasha zabaan se nikla
lo quayaamat ab aai wo kaafir
ban-bana kar makaan se nikla
mar gae ham magar tira armaan
dil se nikla na jaan se nikla
rahraw-e-raah-e-ishq the laakhon
aage main kaarwaan se nikla
samjho patthar ki tum lakeer use
jo hamaari zabaan se nikla
bazm se tum ko le ke jaaenge
kaam kab phool-paan se nikla
kya murawwat hai naawak-e-dil-doz
pahle hargiz na jaan se nikla
tere deewaanon ka bhi lashkar aaj
kis tajammul se shaan se nikla
mud ke dekha toh main ne kab dekha
door jab paasbaan se nikla
wo hile lab tumhare waade par
wo tumhaari zabaan se nikla
us ki baanki ada ne jab maara
dam mira aan taan se nikla
mere aansoo ki us ne ki taareef
khoob moti ye kaan se nikla
ham khade tum se baatein karte the
ghair kyoon darmiyaan se nikla
zikr ahal-e-wafa ka jab aaya
daagh un ki zabaan se nikla
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera