tamaasha-e-dair-o-haram dekhte hain
tujhe har bahaane se ham dekhte hain
hamaari taraf ab wo kam dekhte hain
wo nazrein nahi jin ko ham dekhte hain
zamaane ke kya kya sitam dekhte hain
hamin jaante hain jo ham dekhte hain
phire but-kade se toh ai ahal-e-kaaba
phir aa kar tumhare quadam dekhte hain
hamein chashm-e-beena dikhaati hai sab kuchh
wo andhe hain jo jaam-e-jam dekhte hain
na ima-e-khwaahish na izhar-e-matlab
mire munh ko ahal-e-karam dekhte hain
kabhi todte hain wo khanjar ko apne
kabhi nabz-e-bismil mein dam dekhte hain
ghaneemat hai chashm-e-taghaaful bhi un ki
bahut dekhte hain jo kam dekhte hain
gharaz kya ki samjhein mire khat ka mazmoon
wo unwaan o tarz-e-raqam dekhte hain
salaamat rahe bura hai ki achchha
hazaaron mein ye ek dam dekhte hain
raha kaun mahfil mein ab aane waala
wo chaaron taraf dam-b-dam dekhte hain
udhar sharm haail idhar khauf maane
na wo dekhte hain na ham dekhte hain
unhein kyoon na ho dilrubaai se nafrat
ki har dil mein wo alam dekhte hain
nigahban se bhi kya hui bad-gumaani
ab us ko tire saath kam dekhte hain
hamein daagh kya kam hai ye sarafraazi
ki shaah-e-dakan ke quadam dekhte hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera