sabaque aisa padha diya tu ne
se sab kuchh bhala diya tu ne
ham nikamme hue zamaane ke
kaam aisa sikha diya tu ne
kuchh taalluque raha na duniyaa se
shaghl aisa bata diya tu ne
kis khushi ki khabar suna ke mujhe
ka putla bana diya tu ne
kya bataaoon ki kya liya main ne
kya kahoon main ki kya diya tu ne
be-talab jo mila mila mujh ko
be-gharaz jo diya diya tu ne
umr-e-jaawed khizr ko bakhshi
aab-e-haiwan pila diya tu ne
naar-e-namrood ko kiya gulzaar
dost ko yoon bacha diya tu ne
dast-e-moosa mein faiz bakhshish hai
noor-o-lauh-o-asa diya tu ne
subh mauj naseem gulshan ko
nafas-e-jan-faza diya tu ne
shab-e-teera mein shama raushan ko
noor khursheed ka diya tu ne
naghma bulbul ko rang-o-boo gul ko
dil-kash-o-khushnuma diya tu ne
kahin mushtaaque se hijaab hua
kahin parda utha diya tu ne
tha mira munh na quabil-e-labbaik
kaaba mujh ko dikha diya tu ne
jis quadar main ne tujh se khwaahish ki
is se mujh ko siwa diya tu ne
rahbar-e-khizr-o-haadi-e-ilyaas
mujh ko wo rahnuma diya tu ne
mit gae dil se naqsh-e-baatil sab
naqsha apna jama diya tu ne
hai yahi raah manzil-e-maqsood
khoob raste laga diya tu ne
mujh gunahgaar ko jo bakhsh diya
toh jahannum ko kya diya tu ne
daagh ko kaun dene waala tha
jo diya ai khuda diya tu ne
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera