sab log jidhar wo hain udhar dekh rahe hain
ham dekhne waalon ki dekh rahe hain
tewar tire ai rashk-e-quamar dekh rahe hain
ham shaam se aasaar-e- dekh rahe hain
mera dil-e-gum-gashta jo dhoonda nahi milta
wo apna dahan apni kamar dekh rahe hain
koi toh nikal aaega sarbaaz-e-mohabbat
dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain
hai majma-e-aghyaar ki hangaama-e-mahshar
kya sair mire deeda-e-tar dekh rahe hain
ab ai nigah-e-shauque na rah jaae tamannaa
is waqt udhar se wo idhar dekh rahe hain
har-chand ki har roz ki ranjish hai quayaamat
ham koi din us ko bhi magar dekh rahe hain
aamad hai kisi ki ki gaya koi idhar se
kyoon sab taraf-e-raahguzar dekh rahe hain
takraar tajalli ne tire jalwe mein kyoon ki
hairat-zada sab ahal-e-nazar dekh rahe hain
nairang hai ek ek tira deed ke quabil
ham ai falak-e-shobda-gar dekh rahe hain
kab tak hai tumhaara sukhan-e-talkh gawaara
is zahar mein kitna hai asar dekh rahe hain
kuchh dekh rahe hain dil-e-bismil ka tadapna
kuchh ghaur se quatil ka hunar dekh rahe hain
ab tak toh jo quismat ne dikhaaya wahi dekha
aainda ho kya nafa o zarar dekh rahe hain
pahle toh suna karte the aashique ki museebat
ab aankh se wo aath pahar dekh rahe hain
kyoon kufr hai deedaar-e-sanam hazrat-e-waaiz
allaah dikhaata hai bashar dekh rahe hain
khat ghair ka padhte the jo toka toh wo bole
akhbaar ka parcha hai khabar dekh rahe hain
padh padh ke wo dam karte hain kuchh haath par apne
hans hans ke mire zakhm-e-jigar dekh rahe hain
main daagh hoon marta hoon idhar dekhiye mujh ko
munh pher ke ye aap kidhar dekh rahe hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera