saaz ye keena-saaz kya jaanein
naaz waale niyaaz kya jaanein
shama-roo aap go hue lekin
lutf-e-soz-o-gudaaz kya jaanein
kab kisi dar ki jabha-saai ki
shaikh saahab namaaz kya jaanein
jo rah-e- mein quadam rakkhein
wo nasheb-o-faraaz kya jaanein
poochhiye mai-kashon se lutf-e-sharaab
ye mazaa paak-baaz kya jaanein
bale chitwan tiri ghazab ri
kya karenge ye naaz kya jaanein
jin ko apni khabar nahi ab tak
wo mire dil ka raaz kya jaanein
hazrat-e-khizr jab shaheed na hon
lutf-e-umr-e-daraaz kya jaanein
jo guzarte hain daagh par sadme
aap bandaa-nawaaz kya jaanein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera