saaf kab imtihaan lete hain
wo toh dam de ke jaan lete hain
yoon hai manzoor khana-weeraani
mol mera makaan lete hain
tum taghaaful karo raqueebon se
jaanne waale jaan lete hain
phir na aana agar koi bheje
naama-bar se lete hain
ab bhi gir pad ke zof se naale
saatwan aasmaan lete hain
tere khanjar se bhi toh ai quatil
nok ki nau-jawaan lete hain
apne bismil ka sar hai zaanoo par
kis mohabbat se jaan lete hain
ye suna hai mire liye talwaar
ik mire meharbaan lete hain
ye na kah ham se tere munh mein
is mein teri zabaan lete hain
kaun jaata hai us gali mein jise
door se paasbaan lete hain
manzil-e-shauque tay nahi hoti
thekiyan naa-tawaan lete hain
kar guzarte hain ho buri ki bhali
dil mein jo kuchh wo thaan lete hain
wo jhagadte hain jab raqueebon se
beech mein mujh ko saan lete hain
zid har ik baat par nahi achchhi
dost ki dost maan lete hain
mustaid ho ke ye kaho toh sahi
aaiye imtihaan lete hain
daagh bhi hai ajeeb sehar-bayan
baat jis ki wo maan lete hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera