naa-rawa kahiye naa-saza kahiye
kahiye kahiye mujhe bura kahiye
tujh ko bad-ahad o bewfa kahiye
aise jhoote ko aur kya kahiye
dil ka na kahiye yaa kahiye
jab wo poochhe mizaaj kya kahiye
phir na rukiye jo muddaa kahiye
ek ke baad doosra kahiye
aap ab mera munh na khulwaaein
ye na kahiye ki muddaa kahiye
wo mujhe quatl kar ke kahte hain
maanta hi na tha ye kya kahiye
dil mein rakhne ki baat hai -e-ishq
is ko hargiz na baramla kahiye
tujh ko achchha kaha hai kis kis ne
kahne waalon ko aur kya kahiye
wo bhi sun lenge ye kabhi na kabhi
haal-e-dil sab se ja-b-ja kahiye
mujh ko kahiye bura na ghair ke saath
jo ho kahna juda juda kahiye
intiha ishq ki khuda jaane
dam-e-aakhir ko ibtida kahiye
mere matlab se kya gharaz matlab
aap apna toh muddaa kahiye
aisi kashti ka doobna achchha
ki jo dushman ko naakhuda kahiye
sabr furqat mein aa hi jaata hai
par use der-aashna kahiye
aa gai aap ko maseehaai
marne waalon ko marhaba kahiye
aap ka khair-khwaah mere siwa
hai koi aur doosra kahiye
haath rakh kar wo apne kaanon par
mujh se kahte hain maajra kahiye
hosh jaate rahe raqueebon ke
daagh ko aur ba-wafa kahiye
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera