maze ke kuchh wahi jaante hain
ki jo maut ko jaante hain
shab-e-wasl lin un ki itni balaaein
ki hamdam mire haath hi jaante hain
na ho dil toh kya lutf-e-aazaar-o-raahat
baraabar khushi naa-khushi jaante hain
jo hai mere dil mein unhin ko khabar hai
jo main jaanta hoon wahi jaante hain
pada hoon sar-e-bazm main dam churaae
magar wo ise be-khudi jaante hain
kahan quadr-e-ham-jins ham-jins ko hai
farishton ko bhi aadmi jaante hain
kahoon haal-e-dil toh kahein us se haasil
sabhi ko khabar hai sabhi jaante hain
wo naadaan anjaan bhole hain aise
ki sab shewa-e-dushmani jaante hain
nahi jaante is ka anjaam kya hai
wo marna mera dil-lagi jaante hain
samajhta hai tu daagh ko rind zaahid
magar rind us ko wali jaante hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera