lutf wo mein paae hain ki ji jaanta hai
ranj bhi aise uthaae hain ki ji jaanta hai
jo zamaane ke sitam hain wo zamaana jaane
tu ne itne sataae hain ki ji jaanta hai
tum nahi jaante ab tak ye tumhare andaaz
wo mire dil mein samaae hain ki ji jaanta hai
inhin quadmon ne tumhare inhin quadmon ki quasam
khaak mein itne milaae hain ki ji jaanta hai
dosti mein tiri dar-parda hamare dushman
is quadar apne paraae hain ki ji jaanta hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera