kaun sa taair-e-gum-gashta use aaya
dekhta bhaalta har shaakh ko sayyaad aaya
mere quaboo mein na pahron -e-naashaad aaya
wo mira bhoolne waala jo mujhe yaad aaya
koi bhoola hua andaaz-e-sitam yaad aaya
ki tabassum tujhe zaalim dam-e-bedaad aaya
laae hain log janaaze ki tarah mahshar mein
kis museebat se tira kushta-e-bedaad aaya
jazb-e-wahshat tire qurbaan tira kya kahna
khinch ke rag rag mein mire nashtar-e-fassaad aaya
us ke jalwe ko gharaz kaun-o-makan se kya tha
daad lene ke liye husn-e-khuda-daad aaya
bastiyon se yahi aawaaz chali aati hai
jo kiya tu ne wo aage tire farhaad aaya
dil-e-weeran se raqueebon ne muraadein paain
kaam kis kis ke mira khirman-e-barbaad aaya
ishq ke aate hi munh par mire phooli hai basant
ho gaya zard ye shaagird jab ustaad aaya
ho gaya farz mujhe shauque ka daftar likhna
jab mire haath koi khaama-e-faulaad aaya
id hai quatl mira ahal-e-tamaasha ke liye
sab gale milne lage jab ki wo jallaad aaya
chain karte hain wahan ranj uthaane waale
kaam uqba mein hamaara dil-e-naashaad aaya
di shab-e-wasl moazzin ne azan pichhli raat
haae kam-bakht ko kis waqt khuda yaad aaya
mere naale ne sunaai hai khari kis kis ko
munh farishton pe ye gustaakh ye aazaad aaya
gham-e-jaawed ne di mujh ko mubaarakbaadi
jab suna ye ki unhein shewa-e-bedaad aaya
main tamannaa-e-shahaadat ka mazaa bhool gaya
aaj is shauque se armaan se jallaad aaya
shaadiyaana jo diya naala o shewan ne diya
jab mulaaquat ko naashaad ki naashaad aaya
leejiye suniye ab afsaana-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilaaya toh mujhe yaad aaya
aap ki bazm mein sab kuchh hai magar daagh nahi
ham ko wo khana-kharaab aaj bahut yaad aaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera