kahte hain jis ko hoor wo insan tumhin toh ho
jaati hai jis pe jaan miri jan tumhin toh ho
matlab ki kah rahe hain wo daana hamin toh hain
matlab ki poochhte ho wo naadan tumhin toh ho
aata hai baad-e-zulm tumhin ko toh raham bhi
apne kiye se mein pasheman tumhin toh ho
pachhtaaoge bahut mire ko ujaad kar
is ghar mein aur kaun hai mehman tumhin toh ho
ik roz rang laaengi ye meharbaaniyan
ham jaante the jaan ke khwaahan tumhin toh ho
dildaar o dil-fareb dil-aazaar o dil-sitan
laakhon mein ham kahenge ki han han tumhin toh ho
karte ho daagh door se but-khaane ko salaam
apni tarah ke ek musalman tumhin toh ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera