kaabe ki hai hawas kabhi koo-e-butan ki hai
mujh ko khabar nahi miri mitti kahan ki hai
sun ke mira unhein lutf aa gaya
sunta hoon ab ki roz talab quissa-khwan ki hai
paighaam-bar ki baat par aapas mein ranj kya
meri ki hai na tumhaari zaban ki hai
kuchh taazgi ho lazzat-e-aazaar ke liye
har dam mujhe talaash nae aasman ki hai
jan-bar bhi ho gae hain bahut mujh se neem-jan
kya gham hai ai tabeeb jo poori wahan ki hai
hasrat baras rahi hai hamare mazaar par
kahte hain sab ye quabr kisi naujwan ki hai
waqt-e-khiraam-e-naaz dikha do juda juda
ye chaal hashr ki ye rawish aasman ki hai
fursat kahan ki ham se kisi waqt tu mile
din ghair ka hai raat tire paasban ki hai
quasid ki guftugoo se tasalli ho kis tarah
chhupti nahi wo baat jo teri zaban ki hai
jaur-e-raqueeb o zulm-e-falak ka nahi khayaal
tashweesh ek khaatir-e-naa-meharban ki hai
sun kar mira fasaana-e-gham us ne ye kaha
ho jaae jhoot sach yahi khoobi bayan ki hai
daaman sambhaal baandh kamar aastin chadha
khanjar nikaal dil mein agar imtihan ki hai
har har nafas mein dil se nikalne laga ghubaar
kya jaane gard-e-raah ye kis kaarwan ki hai
kyoonki na aate khuld se aadam zameen par
mauzoon wahin wo khoob hai jo sunte jahan ki hai
taqudeer se ye poochh raha hoon ki ishq mein
tadbeer koi bhi sitam-e-naa-gahan ki hai
urdoo hai jis ka naam hamin jaante hain daagh
hindostan mein dhoom hamaari zaban ki hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera