is ada se wo karte hain
koi jaane ki wafa karte hain
yoon wafa ahad-e-wafa karte hain
aap kya kahte hain kya karte hain
ham ko chhedoge toh pachhtaaoge
hansane waalon se hansa karte hain
naama-bar tujh ko saleequa hi nahi
kaam baaton mein bana karte hain
chaliye aashique ka janaaza uttha
aap baithe hue kya karte hain
ye bataata nahi koi mujh ko
jo aata hai toh kya karte hain
husn ka haque nahi rahta baaqui
har ada mein wo ada karte hain
teer aakhir badal-e-kaafir hai
ham akheer aaj dua karte hain
rote hain ghair ka rona pahron
ye hansi mujh se hansa karte hain
is liye dil ko laga rakkha hai
is mein mahboob raha karte hain
tum miloge na wahan bhi ham se
hashr se pahle gila karte hain
jhaank kar rauzan-e-dar se mujh ko
kya wo shokhi se haya karte hain
us ne ehsaan jata kar ye kaha
aap kis munh se gila karte hain
roz lete hain naya dil dilbar
nahi maaloom ye kya karte hain
daagh tu dekh toh kya hota hai
jabr par sabr kiya karte hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera