in aankhon ne kya kya tamaasha na dekha
haqueeqat mein jo dekhna tha na dekha
tujhe dekh kar wo dui uth gai hai
ki apna bhi saani na dekha na dekha
un aankhon ke qurbaan jaaoon jinhon ne
hazaaron hijaabon mein dekha
na himmat na quismat na hai na aankhein
na dhoonda na paaya na samjha na dekha
mareezaan-e-ulfat ki kya be-kasi hai
maseeha ko bhi chaara-farma na dekha
bahut dard-mandon ko dekha hai tu ne
ye seena ye dil ye kaleja na dekha
wo kab dekh sakta hai us ki tajalli
jis insaan ne apna hi jalwa na dekha
bahut shor sunte the is anjuman ka
yahan aa ke jo kuchh suna tha na dekha
safaai hai baagh-e-mohabbat mein aisi
ki baad-e-saba ne bhi tinka na dekha
use dekh kar aur ko phir jo dekhe
koi dekhne waala aisa na dekha
wo tha jalwa-aara magar tu ne moosa
na dekha na dekha na dekha na dekha
gaya kaarwan chhod kar mujh ko tanha
zara mere aane ka rasta na dekha
kahan naqsh-e-awwal kahan naqsh-e-saani
khuda ki khudaai mein tujh sa na dekha
tiri yaad hai yaa hai tera tasawwur
kabhi daagh ko ham ne tanha na dekha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera