idhar dekh lena udhar dekh lena
kan-ankhiyon se us ko magar dekh lena
faquat nabz se haal zaahir na hoga
mira bhi ai chaaraagar dekh lena
kabhi zikr-e-deedaar aaya toh bole
quayaamat se bhi pesh-tar dekh lena
na dena khat-e-shauque ghabra ke pahle
mahal mauqua ai naama-bar dekh lena
kahin aise bigde sanwarte bhi dekhe
na aaenge wo par dekh lena
taghaaful mein shokhi niraali ada thi
ghazab tha wo munh pher kar dekh lena
shab-e-waada apna yahi mashghala tha
utha kar nazar soo-e-dar dekh lena
bulaaya jo ghairon ko daawat mein tum ne
mujhe pesh-tar apne ghar dekh lena
mohabbat ke bazaar mein aur kya hai
koi dil dikhaae agar dekh lena
mire saamne ghair se bhi ishaare
idhar bhi udhar dekh kar dekh lena
na ho naazuk itna bhi mashshaata koi
dahan dekh lena kamar dekh lena
nahi rakhne dete jahan paanw ham ko
usi aastaane pe sar dekh lena
tamaasha-e-aalam ki fursat hai kis ko
ghaneemat hai bas ik nazar dekh lena
diye jaate hain aaj kuchh likh ke tum ko
use waqt-e-fursat magar dekh lena
hamin jaan denge hamin mar mitenge
hamein tum kisi waqt par dekh lena
jalaaya toh hai daagh ke dil ko tum ne
magar is ka hoga asar dekh lena
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera