ghazab kiya tire waade pe etibaar kiya
tamaam quayaamat ka intizaar kiya
kisi tarah jo na us but ne etibaar kiya
miri wafa ne mujhe khoob sharmasaar kiya
hansa hansa ke -e-wasl ashk-baar kiya
tasalliyan mujhe de de ke be-quaraar kiya
ye kis ne jalwa hamare sar-e-mazaar kiya
ki dil se shor utha haae be-quaraar kiya
suna hai tegh ko quatil ne aab-daar kiya
agar ye sach hai toh be-shubah ham pe waar kiya
na aae raah pe wo ijz be-shumaar kiya
shab-e-wisaal bhi main ne toh intizaar kiya
tujhe toh waada-e-deedaar ham se karna tha
ye kya kiya ki jahan ko umeed-waar kiya
ye dil ko taab kahan hai ki ho maaal-andesh
unhon ne waada kiya is ne etibaar kiya
kahan ka sabr ki dam par hai ban gai zaalim
b tang aae toh haal-e-dil aashkaar kiya
tadap phir ai dil-e-naadan ki ghair kahte hain
akheer kuchh na bani sabr ikhtiyaar kiya
mile jo yaar ki shokhi se us ki bechaini
tamaam raat dil-e-muztarib ko pyar kiya
bhula bhula ke jataaya hai un ko raaz-e-nihan
chhupa chhupa ke mohabbat ko aashkaar kiya
na us ke dil se mitaaya ki saaf ho jaata
saba ne khaak pareshan mira ghubaar kiya
ham aise mahaw-e-nazaara na the jo hosh aata
magar tumhare taghaaful ne hoshyaar kiya
hamare seene mein jo rah gai thi aatish-e-hijr
shab-e-wisaal bhi us ko na ham-kanaar kiya
raqueeb o shewa-e-ulfat khuda ki qudrat hai
wo aur ishq bhala tum ne etibaar kiya
zabaan-e-khaar se nikli sada-e-bismillaah
junoon ko jab sar-e-shoreeda par sawaar kiya
tiri nigah ke tasawwur mein ham ne ai quatil
laga laga ke gale se chhuri ko pyar kiya
ghazab thi kasrat-e-mahfil ki main ne dhoke mein
hazaar baar raqueebon ko ham-kanaar kiya
hua hai koi magar us ka chaahne waala
ki aasman ne tira shewa ikhtiyaar kiya
na poochh dil ki haqueeqat magar ye kahte hain
wo be-quaraar rahe jis ne be-quaraar kiya
jab un ko tarz-e-sitam aa gae toh hosh aaya
bura ho dil ka bure waqt hoshyaar kiya
fasaana-e-shab-e-gham un ko ik kahaani thi
kuchh etibaar kiya kuchh na etibaar kiya
aseeri dil-e-aashufta rang la ke rahi
tamaam turra-e-tarraar taar taar kiya
kuchh aa gai daawar-e-mahshar se hai ummeed mujhe
kuchh aap ne mire kahne ka etibaar kiya
kisi ke ishq-e-nihan mein ye bad-gumaani thi
ki darte darte khuda par bhi aashkaar kiya
falak se taur quayaamat ke ban na padte the
akheer ab tujhe aashob-e-rozgaar kiya
wo baat kar jo kabhi aasman se ho na sake
sitam kiya toh bada tu ne iftikhaar kiya
banega mehar-e-quayaamat bhi ek khaal-e-siyaah
jo chehra daagh-e-siyah-roo ne aashkaar kiya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera