ghair ko munh laga ke dekh liya
jhoot sach aazma ke dekh liya
un ke ghar daagh ja ke dekh liya
ke kahne mein aa ke dekh liya
kitni farhat-faza thi boo-e-wafa
us ne ko jala ke dekh liya
kabhi ghash mein raha shab-e-waada
kabhi gardan utha ke dekh liya
jins-e-dil hai ye wo nahi sauda
har jagah se manga ke dekh liya
log kahte hain chup lagi hai tujhe
haal-e-dil bhi suna ke dekh liya
jaao bhi kya karoge mehar-o-wafa
baar-ha aazma ke dekh liya
zakhm-e-dil mein nahi hai quatra-e-khoon
khoob ham ne dikha ke dekh liya
idhar aaeena hai udhar dil hai
jis ko chaaha utha ke dekh liya
un ko khalwat-sara mein be-parda
saaf maidaan pa ke dekh liya
us ne subh-e-shab-e-wisaal mujhe
jaate jaate bhi aa ke dekh liya
tum ko hai wasl-e-ghair se inkaar
aur jo ham ne aa ke dekh liya
daagh ne khoob aashiqui ka mazaa
jal ke dekha jala ke dekh liya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera