falak deta hai jin ko aish un ko bhi hote hain
jahan bajte hain naqquare wahin maatam bhi hote hain
gile shikwe kahan tak honge aadhi toh guzri
pareshan tum bhi hote ho pareshan ham bhi hote hain
jo rakkhe chaaraagar kaafoor dooni aag lag jaae
kahin ye zakhm-e-dil sharminda-e-marham bhi hote hain
wo aankhein saamri-fan hain wo lab isa-nafas dekho
mujhi par sehar hote hain mujhi par dam bhi hote hain
zamaana dosti par in haseenon ki na itraae
ye aalam-dost aksar dushman-e-aalam bhi hote hain
b-zaahir rahnuma hain aur dil mein bad-gumaani hai
tire kooche mein jo jaata hai aage ham bhi hote hain
hamare aansuon ki aabdaari aur hi kuchh hai
ki yoon hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhi hote hain
khuda ke ghar mein kya hai kaam zaahid baada-khwaaron ka
jinhein milti nahi wo tishna-e-zamzam bhi hote hain
hamare saath hi paida hua hai ishq ai naaseh
judaai kis tarah se ho juda tawaam bhi hote hain
nahi ghatti shab-e-furqat bhi aksar ham ne dekha hai
jo badh jaate hain had se wo hi ghat kar kam bhi hote hain
bachaaoon pairhan kya chaaraagar main dast-e-wahshat se
kahin aise gareban daaman-e-maryam bhi hote hain
tabeeat ki kaji hargiz mitaae se nahi mitti
kabhi seedhe tumhare gesoo-e-pur-kham bhi hote hain
jo kahta hoon ki marta hoon toh farmaate hain mar jaao
jo ghash aata hai toh mujh par hazaaron dam bhi hote hain
kisi ka waada-e-deedaar toh ai daagh bar-haque hai
magar ye dekhiye dil-shaad us din ham bhi hote hain
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera