pareshaan hua jaata hai
aur saamaan hua jaata hai
khidmat-e-peer-e-mughan kar zaahid
tu ab insaan hua jaata hai
se pahle mujhe quatl karo
us ka ehsaan hua jaata hai
lazzat-e-ishq ilaahi mit jaae
dard armaan hua jaata hai
dam zara lo ki mira dam tum par
abhi qurbaan hua jaata hai
girya kya zabt karoon ai naaseh
ashk paimaan hua jaata hai
bewfaai se bhi rafta rafta
wo miri jaan hua jaata hai
arsa-e-hashr mein wo aa pahunche
saaf maidaan hua jaata hai
madad ai himmat-e-dushwaar-pasand
kaam aasaan hua jaata hai
chhaai jaati hai ye wahshat kaisi
ghar bayaabaan hua jaata hai
shikwa sun aankh mila kar zaalim
kyoon pashemaan hua jaata hai
aatish-e-shauque bujhi jaati hai
khaak armaan hua jaata hai
uzr jaane mein na kar ai quasid
tu bhi naadaan hua jaata hai
muztarib kyoon na hon arman dil mein
quaid mehmaan hua jaata hai
daagh khaamosh na lag jaae nazar
sher deewaan hua jaata hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera