ko kya ho gaya khuda jaane
kyoon hai aisa udaas kya jaane
apne mein bhi us ko sarfa hai
na khila jaane wo na kha jaane
is tajaahul ka kya thikaana hai
jaan kar jo na muddaa jaane
kah diya main ne raaz-e-dil apna
us ko tum jaano yaa khuda jaane
kya gharaz kyoon idhar tawajjoh ho
haal-e-dil aap ki bala jaane
jaante jaante hi jaanega
mujh mein kya hai abhi wo kya jaane
kya ham us bad-guman se baat karein
jo sataaish ko bhi gila jaane
tum na paaoge saada-dil mujh sa
jo taghaaful ko bhi haya jaane
hai abas jurm-e-ishq par ilzaam
jab khata-waar bhi khata jaane
nahi kotaah daaman-e-ummeed
aage ab dast-e-naa-rasa jaane
jo ho achchha hazaar achchhon ka
waaiz us but ko tu bura jaane
ki miri quadr misl-e-shaah-e-dakan
kisi nawwaab ne na raaja ne
us se utthegi kya museebat-e-ishq
ibtida ko jo intiha jaane
daagh se kah do ab na ghabraao
kaam apna bata hua jaane
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera