gaya tum ne liya ham kya karein
jaane waali cheez ka kya karein
ham ne mar kar hijr mein paai shifa
aise achchhon ka wo maatam kya karein
apne hi gham se nahi milti najaat
is bina par fikr-e-aalam kya karein
ek saaghar par hai apni zindagi
rafta rafta is se bhi kam kya karein
kar chuke sab apni apni hikamtein
dam nikalta ho toh hamdam kya karein
dil ne seekha shewa-e-begaangi
aise naa-mahram ko mahram kya karein
maarka hai aaj husn o ishq ka
dekhiye wo kya karein ham kya karein
aaeena hai aur wo hain dekhiye
faisla donon ye baaham kya karein
aadmi hona bahut dushwaar hai
phir farishte hirs-e-aadam kya karein
tund-khoo hai kab sune wo dil ki baat
aur bhi barham ko barham kya karein
haidraabaad aur langar yaad hai
ab ke dilli mein moharram kya karein
kahte hain ahal-e-sifaarish mujh se daagh
teri quismat hai buri ham kya karein
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera