-e-naakaam ke hain kaam kharaab
kar liya aashiqui mein naam kharaab
is kharaabaat ka yahi hai mazaa
ki rahe aadmi mudaam kharaab
dekh kar jins-e- wo kahte hain
kyoon kare koi apne daam kharaab
abr-e-tar se saba hi achchhi thi
meri mitti hui tamaam kharaab
wo bhi saaqui mujhe nahi deta
wo jo toota pada hai jaam kharaab
kya mila ham ko zindagi ke siwa
wo bhi dushwaar naa-tamaam kharaab
waah kya munh se phool jhadte hain
khoob-roo ho ke ye kalaam kharaab
chaal ki rahnuma-e-ishq ne bhi
wo dikhaaya jo tha maquam kharaab
daagh hai bad-chalan toh hone do
sau mein hota hai ik ghulaam kharaab
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
khoob parda hai ke chilman se lage baithe hain
saaf chhupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
baais-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhi nahin
tumhaare khat mein naya ek salaam kis ka tha
na tha raqeeb to aakhir wo naam kis ka tha
ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya
tamaam raat qayaamat ka intezaar kiya
aafat ki shaukhiyaan hain tumhaari nigaah mein
mehshar ke fitne khelte hain jis ki raah mein
le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera